Deewangi ost lyrics
Geo drama presents
Pehlay tha churaya jo
Ghar tha phir banaya jo
Dil wohi kyu tod bhi diya hai
Dard ye uthaya jo
mushkilo se paya jo
Phir usi ko chod bhi diya hai
Laga galay juda kiyaa
To ye bata thi kesi ye deewangi
O bewafa teri deewangi... Deewangi
Haan o bewafa teri deewangi... Deewangi
Haay deewangi... Deewangi
Aansuo me gham mila ke
Tumko mera dil dukha ke
Kya mila hai ye btaa mujhe
Ye narazgi kese
Dil se mere jaayegi
Teri baat be asar lagi
Pehli barish ke jaise
kitna ye rulaegi
Jaaney kis ki hai nazar lagi
O bewafa teri deewangi... Deewangi...
Me yun khafa to nahi
Magar gila hai mujhe
Kyu bewafa se koi wafa kare
Rakha hua kaid mai
Hai uske mann mein kahi
Usey kaho dil mera riha kare
Apna bana, kya fanaa
Tu ye bata thi kesi ye deewangi
O bewafa teri deewangi... Deewangi
Haan o bewafa teri deewangi... Deewangi
Haay deewangi... Deewangi
Hai honsla dard ka
Jo sah raha hai mujhe
Ke mere gham ki bhi inteha hui
Tere bina guzar ke
jiyenge kaise bhala
Ye zindagi to bewajah hui
Kyu is kadar rula diya
Tu hi bata ye kesi ye deewangi
O bewafa teri deewangi... Deewangi
Hmm o bewafa teri deewangi... Deewangi
Haay deewangi... Deewangi
Na rooh thi jism mein
Na ankh mein khwab the
Jo mar chuka hai usi ko maar de
Teri wafa matlabi
nazar mila kar mujhe
Tu apni garz ke juye mein haar de
Jala ke dil,
bhuja diya
Tu ye bata thi kesi ye deewangi
O bewafa teri deewangi... Deewangi
O bewafa teri deewangi... Deewangi
Haay deewangi... Deewangi
- Sahir Ali bagga
No comments:
Post a Comment